SBI New Chip ATM Card Kya hai Or EVM chip card hi kyun.

SBI customers ke liye EVM chip card bahut jaruri hai janiye aisa kyu.


Thumbnail


Agar kisi aadmi ka bank account hai to usne ATM card ke baare me to jarur suna hoga.EVM Atm kya hota hai, SBI Bank EVM ATM kaise banaye. Aadi iss jodde sabhi sawal ka jawab iss article me milenga.

SBI EVM Chip card ki jankari dete hai. EVM ka full form Europay, MasterCard and Visa hai.Emv chip Atm card wo hota hai jiske aage ek choti si SIM card ki tarah hota hai. 

SBI ne EVM Chip card ko 2018 31 dec, ke baad launch kar diya tha. fir sab bhi SBI Customers ko EVM Chip card ko lena jaruri kar diya tha. agar koi naya user ne apna Sbi Bank me account open kiya hai to uske pass bhi EVM Chip card hi milega. 

yadi koi Purana Customer hai or usko EVM Chip card ko lena hai to niche diya gaya hai uska process ki kaise EVM Chip card banaye. is article me har baat ko vistar se bataya gaya hai. 


EVM Chip Atm Card kya hai.


EVM ek khaas tarah ka Atm card hai jis par aage ki side me ek choti si sim card ki tarah laga rehta hai. Pehle magnetic card ka istemal hota hai par magnetic atm card se kahi jyada fraud ke cases aate rehte the. Tab RBI (Reserve bank of India) ne iska bhi ek alternative nikala. 

Jis se magnetic card Se EVM card ko badalne ki planning kar li. EVM chip card par jo ek chota sa sim card jaisa hota hai us me aapki detail rehti hai or wo encrypted bhi hota hai. 

Jis se uski detail ko koi bhi nahi le sakta hai. Agar baat kare Magnetic card ki uss par niche iron strip par card ki sari detail hoti thi. Is wajah se magnetic card unsecured thaa. Par ab EMV chip card fast or better security ke saath launch kiya gaya thaa. 

EVM Chip card ab sab card me Available hai chahe wo RUPAY ATM CARD, CLASSIC ATM CARD, GLOBAL INTERNATIONAL Etc.


Yeh Hota hai  Sbi EVM Chip card


Sbi EVM Chip card kaise banaye.


Sbi EVM Chip card ko banane se pehle yeh jaan le ki Koi bhi vyakti ko sabse pehle SBI me khudka Bank Account open karna hoga.

Fir wo vyakti Sbi EVM Chip card ke liye eligible hai.  agar Sbi bank account nahi hoga to Sbi EVM Chip card nahi milega iske liye SBI ki official website par jakar apna account open kar sakte hai.

Account open hone ke 10 days ke baad Sbi EVM Chip card aapke ghar par aa jayega. ab chaliye main aapko batata ho ki kaise Sbi EVM Chip card banaye.

Sbi EVM Chip card ko banane ke liye 2 methods hai. main aapko dono hi method bataunga ki kaise Sbi EVM Chip card ko banaye.

Yeh hota hai Iron strip ATM Card.




Method 1. Offline Sbi EVM Chip card.


iske liye Sbi customer ko Near Sbi branch me visit karna hoga. visit karne ke baad 1 application form hoga use fill karna hai.

Fill karne ke baad 1 koi bhi Legal Identity jaise (Aadhar Card, Driving license, Voter ID card) uske saath legal Identity ki Xerox copy Sbi EVM Chip card form ke saath attach karke Sbi bank me jama karwa de.


Method 2. Online Sbi EVM Chip card.


Yeh process me koi Bhi Sbi customer Jiska account Sbi bank me ho wo yeh process ko ghar bethe bhi kar sakta hai. Iske liye Sbi Customer ko Online SBi ki official Website par jakar login karna hoga.


Sbi ke official website par login hone ke baad, New ATM services ka option hoga waha se Sbi customer apna New Sbi EVM Chip card ko ghar baithe Mangwa sakte hai. Yeh Sbi EVM Chip card aapke ghar par 12 days se 2 weeks ke bich me aa jayenga.


Sbi ATM EVM Chip card Yearly Charges.

Sbi Atm card ke bhi yearly charges pay karne hote hai par yeh sabhi cards par yeh charges nahi lagte hai. iske liye niche Ek list di gayi hai. jiski Help se aapko Ek idea ho jayenga ki konse konse cards par charges pay karni hoti hai.
 
  1. Rupay ATM card: Rs.125 annual charge.
  2. Classic ATM card: 125 annual charge.
  3. Global International ATM card: 175+GST Annual charge.
  4. Gold International ATM card: 175+GST Annual charge.
  5. SBI Platinum International Debit card: 250+GST Annual charge.
  6. SbiINTOUCH Tap & Go ATM card:  175+GST Annual charge.

Also Read:-


Agar aapko yeh article acha laga to niche ek accha comment karke bataye ki yeh article se kya kya sikhne ko mila hai, aap niche comment karenge to Mujhe bahut accha lagega or mujhe aise ache article ko likhne me or jyada maja aayenga. 

Thank You